Guest guest Posted January 2, 2009 Report Share Posted January 2, 2009 Dear Bhaktos, I have also written a poem of Sai baba with his help and support.Please foregive if I have made any mistakes. Om Vakartund Mahakaye, suryeya Koti Samprabha, Nivighinam Kurumedev, Sarvakayeshu Sarvada. Om Shri Ganesha Namah... Allah Malik Suno suno sai ke bhakto, ek kahani tumhe sunao, Aye sapne mein Sai mere, kaha mujhe miljulkar gao. Tum bhi gao dujo ko gwaaon, Sai naam ki Dhoop jagao. Mit jayenge paap tumhare hoga tumhara kalyaan, Fal fool ka na tarso bhakto jao Shirdhi ke dwar. Dhanya hai wo Shirdhi jaha baba ne apna asthaan liya, 16 saal ke banke balak nivasio ka uddhar kiya. Tap bhi kiya, bhakti bhi ki apne un guru ki, Jinke wo shikshook the bhai, apne satguru ki. Koste the apne aap ko baba socha guru ka main hoo hateyara. Jaha baba vishram the karte ek neem ke neeche. Us neem ke pate ko khake karo apna jeevan sanhaar. Meetha hai ye kadwa nahi isme baba ka pyar. Chukar charan paduka baba ki le lo Sai ka pyar. Kadam rakhte hi Shirdhi mein paoge baba ka satgaar. Pawan jhumegi, nachegi, Gayegi, rom rom khil utehga tumhara. Aisa milega Sai ka pyar o bhakto aisa hi hai Sai ka dwar.. Sai dekhenge kon aya dar pe mera pyara, na socha baba ne kabhi kitni zarurat hai use, de diya chappar faad us data ne, man hai uska itna komal. Kya kahu us fakeer ki kahani jo the aman ke pyare.Allah Malik kehte rehte banate bhai chare. Sai ko na tha majhab ka ber, Hindu Muslim Sikh Isai sabhi barabar Sai ke bhai. Apne bhakt ki sunke pukar Sai kabhi na lagate der. Mala phero Sai naam ki, karo uska gungaan. kate sab sankat mochan prani le le Sai ka naam. Dil se kar tu yaad O bande. Teri bagal mein hai Sai. Jo kuch bole jo kuch soche soch samajh kar karna. Ant mein ye sab hisaab lenge baba, tujhe use jaakar hai milna. Her roop Sai ka jaano, her roop uska hi mano. pashu pakshi nirmal komal sab Sai ke hai ek samaan. Kya pata kisme mil jaye baba, aur ho jaye tera kalyaan. Geeta pado, ya Sai Sachritra pado dono ek samaan, Jab jab is dunia mein paap badega Sai hi mera roop dharega ye Geeta ka gyaan O bhakto ye Geeta ka gyaan. Dhool mitti, kankad pathar isko thokar na maro. Ye bhi ik joon hai bhai isko samjho or jano. Ahankaar, moh maya ko teyaago ye paap ke dwar. Kuch din ka khel hai ye to, na maano isse haar. Ghar pariwar, Paisa dhan daulat ye na tere kaam ayega. Om Sai Ram tu jap le baba ko jald hi payega. Band karo ye ladna marna ye baba ko na bhaate, Baba ko dusro mein dekh, Sai sab mein samate. Gareeb din dukhihare ke samne jiska jhukta sheesh Her dam milta mere dost use baba ka ashish. Baba ko tum bhet chadao hara nariyal or bidi Phir mere pyaro dur nahi hai wo mukti ki siddi. Tujhme hai Ram, tujhme hai Krishna tujhme hi Durga mata. Main hoo agyaani maalik mujhe kuch nahi hai ata. Baba ka simran kar lo tum. Nahi rahega ana jana bach jaoge aagman se tum. Agar koi bhul hui is kavita likhne mein mujhse Sai mera bakshan hara. O deva mera bakshan hara. " Garibi Amiri se laakh Sawai, Gareebo ka allah bhai " . Said by OM SAI RAM. Bhakto Sai baba ko pukare pyar se.. SAI DAUDE CHALE AYENGE. Jai Kara Sai baba ke,, Bol Sache darbaar ki Jai… Many thanks! Om Sai Ram Jitender Sahni Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.