Guest guest Posted April 24, 2007 Report Share Posted April 24, 2007 Saileen Sri Om Prakash ke 33 ve "Nirwan-Diwas" par :--- ********************************* (An expression in Hindi is presented below in sweet rememberance of loving Om Prakash, who is now Saileen) =========================== He Swami ! aaj priy-var Om Prakash ka 33va "Nirwan-Diwas" hai.Om Prakash aapka ek anokha bhakta tha.Usne sirf aapko chaha.Aapse pyaar kiya.Aapke pyaar va anurag me usne apna sab-kuchh nyo-chhavar kar diya.Uske liye ab sirf aap hi mata-pita, bhayi-bandhu,guru-shikshak, isht-mitra, rakshak-saran-kshak,marg-darshak,path-pradarshak,man-mitava,hitaishi avam subh-chintak sabhi kuchh the. Use es jeewan me ab aur kuchh prapt karna shesh na tha.Voh purna-tah aap par sama-arpit avam aashrit tha. Voh harwaqt aapke pyaar va anurag me es prakaar duba avam khoya rahta tha ki use eska bhi gyan na tha ki kab subah huyi aur kab shaam.Voh apne jeewan ki nitya-prati ki kriyaye tak karna bhul gaya tha.Khana-peena, nahana-dhona, sona-jaagna avam anya aneka-nek kriyaye karna voh sab-kuchh bhul chuka tha. Om Prakash aapke pyaar me diwana tha,matwala tha, Voh aapke pyaar ki masti me harwat duba rahta tha.Uske hriday, man avam prano me ab sirf aap hi baas karte the.Uske man ki veena aapke pyaar ki masti se harwaqt jhankrat rahti thi. Om ke antash man-prano me, Sai Prabhu karte the baas. Jhankrat uski man-kaya thi, Om magan rahta din-raat. ********************************* (God Sai used to dwell in heart & soul of Om Prakash.His mind & body remained vibrated.Now Om Prakash was always found in blissful state.) *********************************************************** Bhakti ki es para-kashta par pahuch kar Om Prakash ko ab es jeewan me kuchh aur nahi prapt karna tha.Voh ab jeewan mukta ho chukla tha.Uski antah-chetna harwaqt Sai Prabhu ke dhyan me dubi rahti thi.Es avastha ko prapt kar voh videh ki esthiti me rahne laga tha.Fir voh samay aa gaya jab Sai Prabhu ki eksha va prerna se usne Jal-Samadhi le lee.Ab uski aatma Sai Prabhu ki param-chetna me sadev-sadesv ke liye vileen ho chuki thi.Om Prtakash ab Saileen ho gaya tha. Voh pawan din tha Buddhwar (Wednesday) 24-4-1974 aur samay tha saanjh ki bela 19:30 baje, jab Om Prakash ne Samadhi lee.Es din ko ham Om Prakash ke "Nirwan-Diwas" ke roop me manate hai.Voh pawan bhumi jaha uski Samadhi esthit hai voh hai Gram : Jagsenda, Tahsil : Fatehpur,Distt : Barabanki, (U.P.), Northen India Bhakta aur Bhagwan ki gatha, Amar sada rahegi. Sai Prem ki aviral dhara, Sada-sada bahegi. ************************ !! Bol Bhakta aur Bhagwan ki Jai.!1 Prastuti, ====== S.L.Gupta, 19:35 p.m. Banglore, 24-4-2007 ======= SHOUT IT OUT! Tell everyone, from anywhere, that you're online on Messenger Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.