Guest guest Posted June 7, 2008 Report Share Posted June 7, 2008 Dear ReadersHindi Shri Shirdi Sai Baba Chalisa is coming up ,which is not available on net in Hindi fonts for download purpose ,devotees can now read online and can also take print out of both English and Hindi Sai chalisa ,Hindi Chalisa coming up and is not available on internet .Sairam . Shirdi Sai ChalisaPehle Sai ke charan main, apna sheesh namaaun main,Kaise Shirdi Sai aaye, saara haal sunaun main.Kaun hai mata, pita kaun hai, yeh na kisi ne bhi jaana,Kaha janam Sai ne dhara, prashan paheli raha bana.Koyee kahe Ayodhya ke, yeh Ramchandra bhagvan hain,Koyee kehta SaiBaba, pavan putra Hanuman hain.Koyee kehta mangal murti, Shri Gajanan hain Sai,Koyee kehta Gokul-Mohan Devki Nandan hain Sai.Shanker samaj bhakta kayee to, Baba ko bhajhte rahte,Koyee kahe avatar datta ka, pooja Sai ki karte.Kuchha bhi maano unko tum, pur Sai hain sachche bhagvan,Bade dayalu deen-bandhu, kitno ko diya jivan-daan.Kayee baras pehle ki ghatna, tumhe sunaunga main baat,Kisee bhagyashaali ki , Shirdi main aayee thi baraat.Aaya saath usi ke tha, baalak aik bahut sunder,Aaya aaker vahin bus gaya, paavan Shirdi kiya nagar.Kayee dino tak raha bhatakta, bhiksha maangi usne dar dar,Aur dikhaee aisee leela, jag main jo ho gayee amar.Jaise-jaise umar badi, badti hee vaisy, gaee shaan,Ghar ghar hone laga nagar main, Sai Baba kaa gungaan.Dig digant main laga goonjane, phir to Saiji ka naam,Deen-dhukhi ki raksha karna, yahi raha Baba ka kaam.Baba ke charno main ja kar, jo kehta main hoo nirdhan,Daya usee par hoti unkee, khul jaate dhukh ke bandhan.Kabhi kisee ne maangi bhiksha, do Baba mujhko suntaan,Avum astoo tava kaihkar Sai dete the usko vardaan.Swayam dhukhi Baba ho jaate, deen-dukhijan ka lakh haal,Anteh: karan shree Sai ka, sagar jaisa raha vishal.Bhakta ek madrasi aaya, ghar ka bahut bada dhanvaan,Maal khajana behadh uskaa, keval nahi rahi suntaan.Laga manane Sainath ko, Baba mujh per daya karo,Junjha se junkrit naiya ko, tum hee mairee par karo.Kuldeepak ke bina andhera, chchaya hua ghar mein mere,Isee liye aaya hoon Baba, hokar sharnagat tere.Kuldeepak ke re abhav main, vyartha hai daulat ki maya,Aaj bhikhari ban kar Baba, sharan tumhari main aaya,De do mujhko putra-daan, main runi rahoonga jivan bhar,Aur kisi ki aas na mujko, siraf bharosa hai tum par.Anunaye-vinaye bahut ki usne, charano main dhar ke sheesh,Tub prasana hokar Baba ne, diya bhakta ko yeh aashish.'Allah bhala karega tera,' putra janam ho tere ghar,Kripa rahegi tum per uski, aur tere uss balak per.Ab tak nahi kisi ne payaa, Sai ki kripa ka paar,Putra ratna de madrasi ko, dhanya kiya uska sansaar.Tan-man se jo bhaje usi ka jug main hota hai uddhar,Sanch ko aanch nahi haiy Koyee, sada jooth ki hoti haar.Main hoon sada sahare uske, sada rahoonga uska daas,Sai jaisa prabhu mila hai, itni ki kum haiy kya aash.Mera bhi din tha ek aisa, miltee nahi mujhe thi roti,Tan par kapda duur raha tha, sheish rahi nanhi si langoti,Sarita sammukh hone par bhi main pyasa ka pyasa tha,Durdin mera mere ooper, davagani barsata tha.Dharti ke atirikt jagat main, mera kuch avalumbh na tha,Bana bhikhari main duniya main, dar dar thokar khata tha.Aise main ik mitra mila jo, param bhakt Sai ka tha,Janjalon se mukta, magar iss, jagti main veh bhi mujh sa tha.Baba ke darshan ke khatir, mil dono ne kiya vichaar,Sai jaise daya murti ke darshan ko ho gaiye taiyar.Paavan Shirdi nagari main ja kar, dhekhi matvaali murti,Dhanya janam ho gaya ki humne jab dhekhi Sai ki surti.Jabse kiye hai darshan humne, dukh sara kaphur ho gaya,Sankat saare mite aur vipdaon ka ant ho gaya.Maan aur sammaan mila, bhiksha main humko Baba se,Prati bambit ho uthe jagat main, hum Sai ki abha se. Read More --Posted By Manisha.Rautela.Bisht to Shirdi Sai Baba | Sai Babas Devotees Experiences | Sai Baba Related all Details at 6/06/2008 07:02:00 PM Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.