Guest guest Posted June 19, 2006 Report Share Posted June 19, 2006 Sampoorna dukhon ka nivaran kaisey ho????? Dear frnz this is a very nice topic on which I am going to write. But as I wud be able to explain freely in hindi language, so I am using hindi language, later on I will translate it to English. Frnz main iss topic ki lines apni likhi kuch shayari se karna chahunga, & #8220;Aaye jab iss duniya me, sabse pehley hum hi roye, Kuch na lae kuch na le gaye, fir kahey ki chinta hoye, Jiss mann me tha prabhu ka dera, usme moh k beej hai boye, Iss moh maya k chakkar me fans k, kabhi hai hanste kabhi hum roye, Yeh maya ne aisa pakra, prabhu k na humey darshan hoye. & #8221; Dukh-sukh ek doosrey se aisey bandhey hai k hum unhe alag nahi kar saktey. Insann jab garb se bahar nikal kar manav janam me aata hai to bahut dukhi hota hai, Wo rota hai, rota issliye hai k who garab me prabhu ka chintan kar raha hota hai, jaisey hi who iss duniya me aata hai, iss duniya ka maayajaal dekh kar darr jata hai, who rota hai dukhi hota hai k bhagwaan yeh mujhe tu kiss jaal me baandh raha hai. Doosri taraf uske chahney waley khush hotey hai. Means ek taraf dukh to doosri aur sukh. Hansti hui ankhon me bhi ahsk hotey hai. Aur roti hui ankhon me beetaiin khushiyon ki zalak. Sukh dukh ek aisa pehlu hai jise khud se alag nahi kar sakte. Ab main sochta hoon k dukh itni takleef kyun deta hai. Mere mann ne jwab kuch aisa diya. Jab humey koi milta hai to hum khush hotey hai k humari zinagi me koi aaeya. Who khushi thodi der baad madham ho jati hai aur hum apni roj marra ki zinddagi me aise doob jatey hai k who khushi ka ehsaas kam ho jata hai aur hume koi farak nahi pardta, hum normal ho jattey hai. Par jab humein koi chord k jaata hai to hume dukh hota hai, hum uska chintan karte rehte hai aur sadme se bahar nahi nikalte, humara mann ussi me uljha rehta hai aur hum apni normal life bhool kar dukh me samatey jaatey hai. Means bhagwaan ne to hume khushi aur dukh pal k liye hi diya(humarey karmo anusaar) Par humne khushi ko pal pal yaad kar khush hona na chaha par dukh ko pakard k baith gaye, dukh ko pal pal yaad karte gaye aur dukh barta raha. Humne ashko k pani ka smandar bana diya aur ussi samandar me khud doobte chaley gaye. Hum hamesha kissi k janey ko yaad kartey rehte hai, kissi k aaney ko kyun nahi???? Hum humesha dukh ka chintan karte hai khushi ka kyun nahi?? Bhagwaan ne to wo hume sam(equal) maatra(quantity) me diya, par humne apne karmo se dukh ko bara diya, dukh ko brdate gaye aur usme doobte gaye aur annt(end) me bhagwaan ko doshi keh diya. Aisa kyun kiya??? Bhagwaan ka kya dosh. Agar bhagwan ne hume kisssi se milne ki khushi di to usne bichardne ka gam bhi diya. Usne humse dhokha na kiya, hum aek ankh se dekha(means have not done any partiality with us). Par hum hi kyun dukh me kho gaye. Agar humne kissi ka sukh anubhav kiya to uske dukh se kyun ghabra gaye. Sukh dukh to prabhu ki leela hai, maayajaal hai. Bhagwaan SHRI RAM ne bhi SITA MATA ka dukh saha. Jo iss dharti pe manush k roop me aaeya hai usse such-dukh sehna hi hoga. Jaise hum andhere ko door nahi kar sakte, Agar Deepak jalye to Deepak taley bhi andhera hoga. Means sukh dukh aatey jatey rahengey, par hume apne mann ko iss maya jaal me nahi fansne dena. Jiss k aaney ka sukh hua hai uske jaaney ka dukh bhi hoga, par dukh ko barana nahi aur har pal prabhu ka simran karna hai. Jab hum samaj gaye k hum me who hai aur uss me hum tabb hum samajh payengey k na sukh hai na dukh, yeh to ehsaas hai jo mayajaal k karan mann me hai. Iss mayajaal ko jo samaj paya aur prabhu ko jo mann me basa geya uske hi dukh khatam ho jayengey. Kyunki jab mann me kewal HARI hongey fir dukh na hoga. & #8220;KARAM KARO FALL KI CHINTA NA KARO & #8221; Sukh ki khushi mehsoos ki hai to Dukh k anubhav se na ghabrao, har pal ussey yaad karo. Kabir ji kehte hai: & #8220;DUKH ME SIMRAN SAB KAREY, SUKH ME KARE NA KOYE, JO SUKH ME SIMRAN KARE, DUKH KAHEY KO HOYE & #8221; By:- Rohit Sharma Rohit Sharma (sunny) 91-9888079834 91-9876416285 Send instant messages to your online friends http://uk.messenger. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Guest guest Posted June 19, 2006 Report Share Posted June 19, 2006 Dukh sukh wasay he hein jaisay negative, positive, male, female, dhoop chanow,jeena marna, hasna rona hum sab ke janam ka raj hee kudrat ke iisi positive negative usool per he. Kudrat ne her cheese ko balance ker ke banaya he. do haath do per do aankh do kaan do nasal holesetc. jis tarah se jindgi ke ye do rang hein oosi tarah acha bura do karm hein. jab hum acha kaam karte hein to kudrat usko balance karne ke liya uske saath hee acha phal de deti he aur jab hum boora karate hein to uska result de kar balance ker deti he. one true incident one poor boy who was a paper boy , once when he was delievering papers, felt very thirsty. he asked for a glass of water from a woman he delivered paper. the woman asked him to come in and gave him a glass of milk with biscuits. the boy thanked the woman and went away. after 10 years when the same boy was looking at some patient's papers stopped at the name of the patient, other doctor said this woman needs immediate operation but she is not insured and she does not have money. the boy said that he will do the operation. after the operation woman asked to see the doctor who operated on her. when she met the doctor, before she could say anything, doctor said don't worry for the fees, i got my fees in advance 10 years ago when you offered me milk and biscuits. so today's good deeds will reduce your sorrows in future. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.