Guest guest Posted February 19, 2008 Report Share Posted February 19, 2008 Dear Shri Umesh Sharma, Mujhe gussa is liye aya kyon ke mai lagatar kuch hafton se yahi sawal pooch raha hoon,magar mujhe aaj tak kisi ne sahi jawab dene ko tayyar hi nahi hai...! Mai Jyotish ke kahi prakar ka abhyas kar chuka hoon,1957 se mai Jyotish seekhte aaya hoon...bahut mehenat aur research karneke baad mujhe Krishnamurthi Padhdhati pasand aayi,(un dinon me computer nahi tha...padhayee ke sath sath Jyotish seekhna padta tha manually horoscope banata tha...)). K.P.,mere vichar se bahut hi accurate hai...baaki sab system men maine bahut khaamiya paayi hai... Lal Kitab ke bare me sirf suna tha...magar koi genuine kitab nahi mil rahi thi...bahut se fake kitaben market men hai,aise suna tha...Is liye mai information ekhatta kar rah tha,magar koi dene ko tayyar hi nahi hai...har baar koi na koi karan se taal dete the... Isi liye bahut gussa aaya hai...aur abhi bhi hai...! Ab aap mujhe information dijiye... 1. Lal Kitab ka basis kya hai ? 2. Uska rationale kys hai ? 3. Uske predictions/Upayon ka success-rate kya hai...? 4. Kya Lal Kitabwale log Karma me wishwas karten hai kya ? 5. to upayon ka kya matlab hota hai...? 6.Kya koi apna prarabdha badal sakta hai ? Brahma har ek praani ka Bhavishya Likh deten hai...aur hamare Puraanon ke anusar,koi isko badal nahi sakta hai,swayam Brahma bhi nahi...To phir,Upayon ka matlab hi kahan uththa hai ? 7.To main Lal Kitab ke bare men baar baar pooch raha hoon,magar koi bhi dhang ka jawab hi dene kabil nahi hai,aise lagta hai... Ab aap mera problem ko solve kar sakten hai kya ? L.Y.Rao. > > Dear Rao sahib, > Aap to bahut hi gussa ho gaye hain jab ki maine to aapko kuch bhi > nahin kaha. Main to aapne hi mitar ko Salah de raha tha. Khair Ab > jab aapney baat ched hi dhi he to koi baat nahin. > Janab Rao Sahab, Mainey Ek dusrey group main aapse ek swaal pucha > tha shayad aapney pada nahi, koi baat nahi main phir puch leta hoon > ki " Aapki nazar main JYOTISH ki kya paribhasha hey aur eska kya > upyog hey " > Aapka puchna swaal karna bilkul sahi hey, parntoo aap yeh kese sidh > karenge ki aapka JYOTISH ke barey main kitna gyaan hey. > Agar aap ko JYOTISH ka gyaan hey to mera vishwas he ki aapko LAL- > KITAB PADHATHI ke barey main bhi samajh main aa jayega. > Main Jaroor aapke parshano ka uattar dunga, parntoo yah janana > bahut jaroori hey ki prashan puchne valey ki MANSHA yani Irada kya > hey ? Kya vah vastav main hi jananey ka Ichuk hey ya sirf dusrey ka > Majak uda kar aapne ko jyada gyani Sabit Karna chahta hey. Muze aap > par koi Shanka nahi hey. Esliye pahle aap aapne baarey main > batayain ki Jyotish main Aapki kya Sathithi hey? Kyonki Primery > main padaney valey bachey ko High school ke math ki sums padayenge > to majak to padane vale ka hi udega na ki us chote se bache ka jo ki > abhi puri ginti hi nahi janta. > So First of all prove yourself. > Thanks > > May God Bless you > > Umesh Sharma > Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.