Guest guest Posted February 19, 2008 Report Share Posted February 19, 2008 Dear Mr. Rao, Read your answers in capital letters below your querries. My humble request to you plz be polite. I understand your frustation but every method of Astrology has his own importance. Thanks Dear Shri Umesh Sharma, Mujhe gussa is liye aya kyon ke mai lagatarkuch hafton se yahi sawal pooch raha hoon,magar mujhe aaj tak kisi nesahi jawab dene ko tayyar hi nahi hai...! Mai Jyotish ke kahi prakar ka abhyas karchuka hoon,1957 se mai Jyotish seekhte aaya hoon...bahut mehenat aur research karneke baad mujhe Krishnamurthi Padhdhati pasand aayi,(un dinon me computer nahi tha...padhayee ke sath sath Jyotish seekhna padta tha manually horoscope banata tha...)). K.P.,mere vichar se bahut hi accuratehai ...baaki sab system men maine bahut khaamiya paayi hai... Lal Kitab ke bare me sirf suna tha...magar koi genuine kitab nahi mil rahi thi...bahut se fake kitaben market men hai,aise suna tha...Is liye mai information ekhatta kar rahtha,magar koi dene ko tayyar hi nahi hai...har baar koi na koi karanse taal dete the...Isi liye bahut gussa aaya hai...aur abhi bhi hai...! Ab aap mujhe information dijiye... 1. Lal Kitab ka basis kya hai ? ANS: JO BASIS KP KA HAI. ANTAR SIRF ETNA HAI KI HUM SIRF BHAV KE KARAK GRAHON KO AUR SUVIDHA KE LIYE KAAL PURUSH KUNDLEE KO LETE HAIN. ESA NAHIN HEY KI LAGANESH YA PANCHMESH KI MAHTTA KHATAM HO GAYI HEY, SIRF GUJLON SE BACHNEY KE LIYE ESA KIYA JATA HEY. BAD MAIN JAB ESKI PURI SAMAJH AA JATI HEY TO AAM JYOTISH KE HISAB SE HI FALIT BHI NIKALTEY HAIN. AB AAP BURA NA MANE TO MAIN EK BAAT AAPSE PUCHOON KI 1. KP KA BASIS HEY? 2. KYA AAP BATA SAKTEY HAIN KI GRAH KA UNCH HONA YA NEECH HONA KIS ADHAR PAR MANA GAYA HEY? 3. VIMSHOTRI KA KYA ADHAR HEY? 4. MAN LAIN KI JATAK KI KUNDLEE MAIN JUPIER NEECH KA HEY TO YEH KESE SIDH HOGA KI VAH KHRAB PHAL KAR RAHA HEY? RAHI BAAT DASA PERIOD KI TO MAAN LAIN KI JATAK KA JANAM SHANI KI MAHADASHA AUR USI KI ANTER DASA MAIN HUA HO TO. 5. SIR, AAPKA SUCCESS RATE KYA HEY? 2. Uska rationale kys hai ? ANS: VAHI JO KP KA HAI. 3. Uske predictions/Upayon ka success-ratekya hai...? ANS:- VAHI JO KP KI HAI. 4. Kya Lal Kitabwale log Karma me wishwas karten hai kya ? ANS: KYON NAHIN, KYA AAP LOG NAHI KARTEY? 5. to upayon ka kya matlab hota hai...? ANS: JO VEDIC JYOTISH MAIN POOJA PATH KA HOTA HEY. 6.Kya koi apna prarabdha badal sakta hai ?Brahma har ek praani ka Bhavishya Likh deten hai...aur hamarePuraanon ke anusar,koi isko badal nahi sakta hai,swayam Brahma bhinahi...To phir,Upayon ka matlab hi kahan uththa hai ? ANS:KYA KOI BHI BADAL SAKA HAI ? ESILIYE MAIN AAPSE REQUEST KAR RAHA THA KI PAHLEY AAP ES PADHAIN PHIR KOI DHARNA KAYAM KARAIN. SH. YOGRAJ PRABHAKAR JI NE ES BAREY MAIN AAPKO PURI JANKAARI DI HEY. LAL KITAB HATI HEY-- " LAL KITAB HEY JYOTISH NIRALI, SARA HAAL BATATI HEY, AGAR KISMAT MAIN LIKHA HO TO MAMULI UPAY SE JAHMAT HATATI HEY " DUSRI BAAT ESKE NIYMON MAIN EK NIYAM YEH BHI HEY KI " GRAH PHAL NAHIN TALTA SIRF RASHIPHAL KO BADLA JA SAKTA HAI VAH BHI GRAH KE SHAKKI HONE PAR. " ( PRTYEK BHAV KO DO TARIKON SE DEKHA JATA HEY EK BHAV KA ASAR DUSREY KONSI RASHI HE ESKA PRBHAV. KYA ESAA HEY?) DUNIYAN MAIN KUCH AISE LOG BHI HOTE HAIN JO REKH MAIN MEKH LAGA DETE HAIN. MAGAR PRABHAV TALTA NAHIN SIRF ADLE KA BADLA HOTA HAI, JAISE BABAR-HUMAYUN KA KISSA. 7.To main Lal Kitab ke bare men baar baarpooch raha hoon,magar koi bhi dhang ka jawab hi dene kabil nahihai,aise lagta hai... ANS: YEH TO MAIN AAPKI RUSTRATION DEKH KAR HI SAMAJH GAYA THA. Ab aap mera problem ko solve kar sakten haikya ? ANS: KOSHISH KAR SAKTA HOON VADA NAHIN. UMESH SHARMA L.Y.Rao. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.