Jump to content
IndiaDivine.org

Mr. Rao

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Dear Mr. Rao

PLZ READ MY VIEWS IN CAPITAL LETTERS BELOW YOUR ANSWERS.

 

Dear Umeshji,

Pehle aapke prashnon ka jawaab dunga...

1) Sub division ka sidhdhant kafi research ke baad hi

aaya hain...Ek Nakshtra 13* 20' lambayee(length)tak hota

hai...Traditional astrologers ne us 13*20' ko 9 EQUAL divisions me

baata tha jisko Navaunsh kehte the...magar Krishnamurthiji ne us me

bahut sari Khaamiyan payi,unhone adyayan karke,is divisin ko equal se

badal kar 9 divisions ko har planet ke Dasha ke anusar

proportionately bhaga...

ANS:- NAVANSHA IS THE 9TH DIVISION/PART OF THE RASHI NOT OF THE NAKSHTRA.

YEH UNKA PEHLA TURUP KA EKKA THA...

2) Adhayan ke baad unhone paya ki bahut bar,ek graha jo

trikon men swagrahi baitha hai,Dasa/Bhkti/Anthara/sookshma

me Kharab results deta hai...Is ke adhyayan bhi kiya gaya aur paya

gaya ki kisi graha ka sub-lord hi nischit karta hai ki woh achcha ya

kharab effects deyga...the sub-lord decides...

ANS:- FIRST OF ALL, MY QUESTION IS WHICH DASHA SYSTEM YOU APPLY. IF YOU APPLY VIMSHOTTRI THAN WHY? WHAT PRINCIPLE USE TO ALLOTMENT THE YEARS TO PLANETS. AS SUN-6YEARS, MOON-10YEARS ETC.?

YEH UNKA DOOSRA TURUP KA EKKA THA...

3) Jo doosre divisions ka baat jo aap ne likkha hain,K.P. unko nahi

maanta hai...!

ANS: OK.

4) 249 hi kyon divisions hai ?

Kyon ki 27 nakshatra ko K.P. ke bhaga jaay to

totally zodiac men 249 different divisions bante hai...

Horary Astrology men,is tharah 249 lagna ka

possibility hai...Kafi Adhyayan ke baad,yeh bhi paaya hai ki,koi ek

vyakti ek hi prashna ke liye doosra number detaa hai TO BHI RESULT

NAHI BADALTA HAI...Aap khud ispe adyayan kar saten hai...maine khud

bahut adhyayan kiya kyon ki mujhe yeh baat patthi nahi thi...magar

yeh baat SAHI NIKLI... !

ANS: WHICH PRINCIPLE USED TO MAKE THIS DIVISION? BECAUSE IF YOU MULTIPLYTO 27 NAKASHTRAS WITH 9TH THAN 27X9=243, IF WE TAKE 28 NAKSHTRA THAN 28X9=253, THAN HOW 249.?

YEH UNKA TEESRA TURUP KA EKKA THA...

5) Gaur karne ki baat yeh hain ki is 249 numbers se

aap koi bhi prashna,Prashna Kundali se koi bhi sawal ka achuk uttar

diya ja sakta hain...

ANS: BUT SIR, FIRST OF ALL, WE DECIDED THAT THIS DIVISION IS PRINCIPLLY RIGHT?IF YOU SAY IT IS RIGHT THAN PLZ EXPLAIN THE PRINCIPLE.

YEH UNKA CHAUTHA TURUP KA EKKA THA...

YEH EK UNIVERSAL JOKER BHI HAI...

KAHI BHI FIT HOTA HAI.

6) Is SHODH ke aadhar par,bahut se logon ke common

sawaal ka uttar accurately diya ja sakta hai...jaise ki :

a) Mujhe naukri kab milegi ? Multinational Co. me ya

Indian Co ? b) Meri Co. kya mujhe videsh bhejegi? Kab ?

c) Meri Shaadi kab hogi ? Love marriage ya arranged ?

d) Ladki/Ladka kaisa hoga ? Kya karta hoga ? Business

ya naukri?Videsh men ya yahin ?

e) Mero aur mere bibi ki nahi patthi hai...kya mamla

sulajh jayega ? Ha to kab? Nahi to.divorce hoga kyaeparation hoga ?

 

Is tareh ka prashna ke achuk,aur tarikh ke saath,din

ke saath jawaab de sakthe hain...! !

Aise Jawaab SIRF K.P. ke aadhar pe diya ja saakta

hai...JISKE LIYE K.P. AAJ FAMOUS HO GAYA HAI... ! ! !

ANS: MAY BE YOU ARE RIGHT BUT MY QUESTIOS ARE STILL THERE?

 

7) Aur bhi jo bhi Prashna hai main uska vistarit

jawaab zaroor doonga...

ANS: THANKS

8) Maine aapko pichle mail men Vimshottari Dasa ka

Rationale(AADHAR),ka reference de chuka hoon...idhar reproduce karna

mumkin nahin hai...bahut lamba e-mail hoga..

ANS: STILL I AM WAITING..

9) Aap ka K.P. par har prashna ka jawaab mai zarror

aapko duunga...Gulbarga theory to ab bahut kam K.P,.followers waparte

hai...kyon ki aur accurate methods ka shodh hua hai...aur gulbarga

theory sirf Yes/No sawal ke liye wapra ja sakta hai...ek shortcut

method hai...

ANS: OK

10) K.P. ke aadhar par,jab bhi aap ke kamre men koin

bhi pravesh karega,turant aap unko uska Janma Nakshatra bataa saten

hai...ek chounkane wali baat hain uske liye... !

Vagera...vagera...vagera...

ANS: I AGREED, BUT YOU PROVE THAT YOUR PADHATHI IS RIGHT?

 

Abhi,aap mujhe samjha dijiye ki Karma/destiny kaise

badla ja sakta hai..

ANS: NO BODY CAN CHANGE THE DESTINY.

Hindu philosophy aur Hindu scriptures aur

Puraanon ke vichaar ke opposite hai...Is janam to uska phal hargis

nahi mil sakta hai...yeh to hum sub jaanten hai...agla janam kisne

dekha hai ?

ANS: BUT YOU SAY THAT KP PADHATHI EXPLAIN PAST-PRESENT AND FUTURE BIRTH, FROM YOUR PRESENT KUNDLI. I THINK BOTH ARE CONTRADICTORY STATEMENTS.

Magar apko yeh sun kat tajjub zarror hoga ki K.P. se ap

pichle,present aur future janam ke baaten,vartamaan kundalise hi jaan

sakten hain... !

ANS: ARE YOU PROVE IT LOGICALLY?

Kaarmic phal to is janam men bhugatna hi padega...karnic

RIN to chukana hi padega...nahi to agle janam me interest ke saath

carry-forward hoga...

ANS: WHAT IS KAARMIC PHAL YA RIN? HOW CAN YOU PROVE IT WILL GO AND PAY WITH INTEREST?.. ARE YOU SHOURE THAT THE PERSON BORN IN A MANUSHYA YONI NOT ANY OTHER YONI?

Krishnmurthi Padhdhati aapka is janam ka Karmic Phal kya

hai...yeh jaan ne ko aapko madadgaar hai...

YEH,EK ASTROLOGY KA SAHI,PRACTICAL AUR UTTAM USE HAI JO

KRISHNAMURTHI PADHDHATI HI AAP KO PRADAAN KARTA HAI...! ! ! !

ANS: I THINK YOUR BOAT HAS SO MANY HOLES.

 

Mera Rajni Khan ko bheja hua e-mail BHI padhiye aur baad

me VISTAAR SE JO BHI JAWAB DENA HAI,TO DE DIJIYE

ANS:DEFINATELLY....

NOW ONE QUESTION : ARE YOUR BIRTH DATE IS ONE OF 09-18 OR 27?

IN YOUR CHART YOUR SUN-MERC ARE. IN 11TH HOUSE FROM LAGNA?

WITH REGARDS

IN WAITING OF YOUR ANSWER

UMESH SHARMA

L.Y.Rao.

 

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...