Guest guest Posted July 22, 2009 Report Share Posted July 22, 2009 Res Rakesh Ji Aapka yah likhna - " Lal kitab ke anusaar chander no. paanch wale jaatak ko bhalai ke kaamo ka natija theek nahi milta " theek nahi hai.lalkitab main aisa nahi likha hai.Kyonki khana 5 se sooraj aur guru ka talluq hai ,yah dono insaan ke yash aur maan samman se bhi talluq rakhtey hain, isliye agar kisi karan se chander mandaa ho jaaye ya kar liyaa jaaye to insaan bhalaa kartey huve bhi apyash hee prapt ho saktaa hai.Lekin apne aap main yahaan par chander ekdum buraa nahi kahaa ja saktaa Lalkitab main mandey chander ke liye likha hai ki Buraa bolnaa museebat ki nishani aur burey bol ki nishani budh ki mandi cheezon ke aane ki pehchaan hogi.Iske alawa yah bhi likhaa hai ki agar khudgarz ,laalachi huaa to bhi khana 5 ka chander mandaa ho saktaa hai Mere khyaal se agar aap chander 5 ko dhyaan se reading lain to aap poora matlab samajh jayengey. With Regards Pt.Lalkitabee V.shukla , " rakesh_771119 " <rakesh_771119 wrote: > > Respected Vipin Shukla Ji, > > Namaskar, > > Lal kitab ke anusaar chander no. paanch wale jaatak ko bhalai ke kaamo ka natija theek nahi milta jabke khana no. 5 Suraj ka pakka ghar hai aur Guru ka karak ghar hai aur yeh dono greh chander ke dost hein phir bhi kyon chander paanch wala kadwe bol bolne par majboor ho jata hai.Kripya meri shanka ka nivaran karne ka kasht krein .AAp ki bahut meharbani hogi. > > Dhanyawad sahit aap ka sewak, > > Rakesh Kumar > Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Guest guest Posted July 23, 2009 Report Share Posted July 23, 2009 Respected Sh.Vipin Shukla Ji, Namaskar, Chander khana no.-5 ke bare mein aap ji ne bahut vistar se samjhaya hai us ke liye aap ka bahut bahut dhanyawad.Mene ek jgah padha hai ke ese chander ko abadi ke andar ka dariya kaha gaya hai jis mein abadi ke grahsthi log apni zaroorat pura kar ke kachra fenkte rehte hain,Phir taalim par lagaya paisa bhi puri kimat nahi deta.Ek bat aur likhi hai ke ainsa aadmi aam logon ka bhala karega to bhi doosre uska bhla nahi karenge.us ki taaleem bhi us ke liye nirarthak hi rahegi yeh sab negative kyon ? Kripya is shanka ka smadhan zaroor kijiyega. Dhanyawad sahit aap ka shubhchintak, Rakesh Kumar Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Guest guest Posted July 23, 2009 Report Share Posted July 23, 2009 Res Rakesh ji Jab aap yahaan tak pahunch hee gaye hain to ek baar apni nazar -e- saani,jis ghar main chander baithaa hai uske malikaanaa juzb par bhi kar lain ,saari kahaani apne aap samajh main aa jaayegi. With regards Pt. Lalkitabee V.Shukla Mb.-9812020001 , " rakesh_771119 " <rakesh_771119 wrote: > > > Respected Sh.Vipin Shukla Ji, > > Namaskar, > > Chander khana no.-5 ke bare mein aap ji ne bahut vistar se samjhaya hai us ke liye aap ka bahut bahut dhanyawad.Mene ek jgah padha hai ke ese chander ko abadi ke andar ka dariya kaha gaya hai jis mein abadi ke grahsthi log apni zaroorat pura kar ke kachra fenkte rehte hain,Phir taalim par lagaya paisa bhi puri kimat nahi deta.Ek bat aur likhi hai ke ainsa aadmi aam logon ka bhala karega to bhi doosre uska bhla nahi karenge.us ki taaleem bhi us ke liye nirarthak hi rahegi yeh sab negative kyon ? Kripya is shanka ka smadhan zaroor kijiyega. > > Dhanyawad sahit aap ka shubhchintak, > > Rakesh Kumar > Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.