Guest guest Posted March 15, 2009 Report Share Posted March 15, 2009 Res.Members Today Pt.Veni Madhav Goswami addressed the Bhrigu Jyotish Anusandhan of Ambala Cantt.I was also there.I listened the whole speech of goswami ji But I am shocked by the announcement in initial stage of speech Of Pt.Goswami Ji. He said- Main 20 varsh se lalkitab par kaam kar rahaa tha aur yah pustakain jin logon ke paas thin ve inhain dikhaane se bhi parhez kartey they aur maine urdu ke edtion ekatrit kar unki hindi pustak tayyar karke ap logon ke saamne prastut kee hain. ISKE ATIRIKT URDU KI ORIGINAL COPIES BHI INTERNET PAR MAINE UPLOAD KAR DEE HAIN JO LENAA CHAHAIN VE MUFT MAIN DOWNLOAD KAR SAKTEY HAIN, Why he felt hasitation in announcing the names of Bhai yograj,Rajendra Bhatia Ji. All of us know that Mr. Yograj is the only one person & he is the key person, who provided all urdu edtions publically & free of cost even he provided these books to Mr. Goswami & Mr. Bhatia ji also provided 1952 edition as per my knowledge. Really I have a great regard for Pt. Goswami Ji but -- Ek bujurg vyakti se is prakaar ke shabd sunkar mujhe bahut hee mansik aaghat pahunchaa hai, jabki yah sabhi ko pataa hai ki yah books kahaan se aur kaise prapt huyee aur free download ke liye kisne uplabdh karvaayee.Goswami ji ne lalkitab ka dushprachaar karne walon ko sambodhit kartey huve yah vaktavya shuru kiyaa tha.Lekin khud aayu ke is muqaam par aakar vah lalkitab ke un sewak-logon ke shreya ko nakaar kar aur sehra apne sir par baandh kar kyaa saabit karnaa chahtey hain ,mujhe hazam nahi ho rahaa. Isiliye main aap logon se apne vichar abhivyakt kar rahaa hun. yadi vayovriddh Pt. Goswami ji ko mere shabd aghaat pahuchaayain to Mere bujurg Pt. Goswami ji se main maafi mangtaa hun. Lekin agar meri jagah vah khud hotey aur jise hum LIGHT POLE samjhtey hon, vah hee aisa vaktavya detaa to ve khud kyaa kartey ? Kyaa yah ek naitik kartavya nahi ki jo kaam jisne kiyaa uskaa shreya use diyaa jaaye. Poojya pandit Roop Chand ji to apni pustakon main bhi sehyog karne walon ka naam lenaa nahi bhooley aur yahaan par sab kuch ultaa hee dekhne-sunney ko milaa. Agar Veni madhav ji sahi keh rahey hain to Yograj Ji aur Bhatia ji jaise logon se hamaaraa abhi tak lalkitab ke sandarbh main jo parichay hai vah to vyarth hee hua. Aakhir sach kyaa hai? Main Iltezaa kartaa hun ki yograj ji aur Bhatia ji aur anya sabhi jo bhi is karyaa main joined they vastaviktaa ko prastut karne ka kasht karain.Main yah isliye likh rahaa hun kyonki Pt. Goswami ji ka naam jin logon kee mehnat ke karan lalkitab community main astitva main aayaa ,bharee sabhaa main un logon ka naam tak na lenaa bhi Goswami ji ko yaad nahi rahaa. Is se badh kar Lalkitab ki vidambnaa kyaa hogi. With Regards Pt. Lalkitabee Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.