Jump to content
IndiaDivine.org

Anniversary of Group- Congrats to all members with a request.

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Guest guest

Respected MembersIs group ka AGHAZ shuru hua "RIN-PITRI" se. uske baad uske baad PLANETS OF LUCK par duscussion hua.Saath hee "House system of Lalkitab" bhi jaari rahaa.Iske baad "BLIND & HALF BLIND horoscope par ek discussion poore jor shor se chalaa. "ASPECTS IN LALKITAB" bhi discussioners ki tez nazar se door nahi rah sakaa. "ULJHAN" ke Grah ki uljhan ko suljhaane ki bhi bamauka koshish kee gayee.Grahon ki taqat par "PLANETRY STRENGH" ka vishay bhi lalkitab ki gehraaiyon ko samajhne main madadgaar rahaa.Iske baad "VASTU" par vichar vimarsh hua lalkitab ke mutabiq.Isi ke dauran" LAL KITAB LAGNA CHART FOR FOREIGN BORNS " ek aisa discussion ya debate rahaa jo ki aaj tak lalkitab ke mutabik bahut researchful topic saabit hua ,saath hee isnmain lagn-sadhan ke prachin ganit paddhati par bhi raushani daali gayee,jo ki is discussion ka anmol hissa hai.Fir silsilaa shuru hua "SOYE HUVE GHAR AUR GRAH" ka aur poora hua."DESTROYING THE EFFECTS BY BURYING" topic ne ek kamaal ka nazariya prastut kiyaa. "GEM STONES & VIEW OF LALKITAB" topic se sabit hua ki lalkitab ne bhi inki taqat aur asar ko manjoori dee hai."SATHI GRAH" ke discussion ka saath lalkitab ke scholars ke liye mile stone kee tarah sabit hogaa yah meraa vishvaas hai."KAALSARP YOG AUR LALKITAB" ek aisi koshish rahee jo ki lalkitab ke nazriye ko khulkar sabit karti hai.

Yah to sirf shuruaari 20 ya 25 dino main hee is group ka yogdaan hai, aur aaj is group ko shuru huve poora ek saal ho chukaa hai.Aur na jaane kitne hee topics par poora prakaash daalne ki koshish kee gayee. Is shubh avsar par main Varun ji, aur unke group ko badhaayee detaa hoon. Saath hee meri iltazaa hai ki koyee member/members is group main ab tak disscuss kiye gaye topics ki ek fehrist tayyar karke filer section main upload kar dain. Taaki kisi bhi new reader ko is group ke dwara lalkitab se judey huve sawaalon ke jawaab search karne main aasaani rahey.

Ek baar fir sabhi ko is group ki pehli VARSHGAANTH par mubaarak.

With regards

Pt.Lalkitabee

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...