Guest guest Posted September 8, 2004 Report Share Posted September 8, 2004 In Prashthabhumi aur Vyaakhya Pt Ashant writes on pg 192 I quote " CHAUTHE GHAR MEIN CHANDRA KE SAATH BUDH KAA HONAA DHAN DAULAT KE LIYE BAHUT SHUBH ASAR DETA HAI. DIL KI SHAANTI TATHAA JEEVAN KE GUPT BHEDON KO SAMAJHNE KI ICHAA BHI PAIDA KARTA HAI, KINTU YADDI IN PAR DASVE GHAR SE KETU YAA SHANI KI DRISHTI PARTI HO TO AISE VYAKTI KAA DUNIYAAVI HAAL MANDAA HI HOGAA. DOOSROn KI MUSIBAT APNE UPAR LE LEGAA AUR USKE MAN MEIN FARZI VEHAM BHI HOGA. KAI DAFAA VAH ATMA-HATYAA TAK KARNE KI BHI SOCH SAKTAA HAI " Will any of the members kindly confirm the above from the original text please? Thanks in advance R S Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Guest guest Posted September 8, 2004 Report Share Posted September 8, 2004 Dear Rakesh ji, Chandra-Budh:- Ladkiyan 6 saal, Bimari-15 saal, Daulat 22 saal I Duniyavi khrab, ruhani chandra ka uttam aur parbal, Maan-Dhee, dariya ke pani main ret duniya, tota, Hans(parinda) Kuaan, podiyan mushtarka Agar budh nek hove to chandra bhi nek hoga- lekin jab budh manda hove to na sirf chandra manda hoga balki shani bhi aulad ke taulak main apne hi bache kha jane vala bura saanp hoga- chandra pahle gharon main ho to chandra ka asar parbal hoga- gevi halat aucha duniyavi halat main dono ka hi manda hoga- Dono juda juda hone ki halat main dono main se koi bhi jab dusrey ghar har tarah se akela hove to pura nek aur uttam phal deve- Lekin jab dono mushtarka ho kar dono main se kisi ke ghar ekathe hon to neki ki shart jaroori na hogi sivay khana no#4 jahan ki gebi aucha - Duniyavi haal dono ka manda- dono mushtarka ya do main se kisi ke saath papi grah ya dushman grah( khawah dushman khwah dono ka dushman ho) ya Mangal Bad ka taaluak ho jave to dono hi grahon ka gebi aur duniyavi phal umda hoga- dono ke saath brihspat bhi aan mile to Budh mara jayega- Agar Budh pahle gharon main ho to Budh ka asar parbal hoga ya dono Budh ke gharon main ekathe ho jaave to mande natize honge- Dono hi uppar ki milavaton se agar mande ho jave to (chandra)Mata Budh (beti) juda juda rahen ya Budh ke dasti Hunarmandi ke kaam band karen dono mushtarka mande shanichar ka kaam denge- Balki chandra nashat lenge-Glva-ye-Ishak bayse tabahi hoga- Jab dono do main se kisi ke ghar ekathey hon magar jab dono mushtarka magar donoke gharon se bahar kisi aur jagah ekathey hon aur drishti khali Goya Maan Beti akeli hi jodi to dono Ekbaal mand hongen- Dhan-Daulat umda magar dili takat kamjor hogi- Dono ko dekhe Mangal Badh: Mamu taraf manda haal magar umar lambi va umda I Brihspat, Suraj, Shanichar, Nek Asar hoga I Dono bilmukabil hon aur drishti ho 100% Nihayat kharab Asar I 50% Khrab Podiyon ke samne kuaan ho I 25% Mamuli kharab Khana No# 4:- Farzi vaham aur doosron ki musibat khud apne upar lega, khudkashio ka karan glba Ishak hoga. Magar garibi Maut ki vajah na hogi. ( Lal-Kitab Edition-1942) Mudit982001 lalkitab , " rakeshsahgal " <rakeshsahgal> wrote: > In Prashthabhumi aur Vyaakhya Pt Ashant writes on pg 192 I quote > > " CHAUTHE GHAR MEIN CHANDRA KE SAATH BUDH KAA HONAA DHAN DAULAT KE LIYE > BAHUT SHUBH ASAR DETA HAI. DIL KI SHAANTI TATHAA JEEVAN KE GUPT BHEDON > KO SAMAJHNE KI ICHAA BHI PAIDA KARTA HAI, KINTU YADDI IN PAR DASVE > GHAR SE KETU YAA SHANI KI DRISHTI PARTI HO TO AISE VYAKTI KAA > DUNIYAAVI HAAL MANDAA HI HOGAA. DOOSROn KI MUSIBAT APNE UPAR LE LEGAA > AUR USKE MAN MEIN FARZI VEHAM BHI HOGA. KAI DAFAA VAH ATMA-HATYAA TAK > KARNE KI BHI SOCH SAKTAA HAI " > > > Will any of the members kindly confirm the above from the original > text > please? > > Thanks in advance > > > R S Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.