Guest guest Posted June 19, 2004 Report Share Posted June 19, 2004 Respected Kulbir Ji Aapne jo vishay(35 yrs cycle) discussion hetu liyaa tha kripyaa use poorna karne ka kast karain.Kyonki main to yahi jantaa hoon ki Gyan aseemit hai tathaa ek jivan iske liye paryaapt nahi hai.Aur hum jeevan bhar anya praniyon se shiksha aur gyan grahan karte hi rahte hain.Dattatrey (A Muni) ji ke 24 Guru the jo ki tortoise jaise praani bhi they jab ek tortoise shikshaa pradaan ker saktaa hai to manushya to bahut mahatvpoornaa hai. Lekin aap jo bhi discussion prastut karain use lalkitaab ke dayre main hi karne ka kasht karain.Main maan saktaa hoon ki aapne jo Shri Ram Laxman ityaadi ke symbolic importance ko lalkitab ke anurup jodne ka prayaas kiyaa hai veh tarif ke kabil hain aur yeh ek achchhaa discussion ka vishay ho saktaa hai lekin hum log us research ki apekshaa abhi iske astrological part ki or hi prayaas ker rahe hain. Agar hum abbhi se us or badh gaye to hamain Saddaam Husain aur Mr. Bush bhi Mangal nek aur Mangal bad dikhai denge.Us or badhne ka mujhe koi labh bhi pratit nahi hotaa.Agar hum Lalkitab ki Ibarton se alag hoker us per anya researches karne lagenge to aap hi kahiye ki kya hum lalkitab ke sath is group main nyay ker sakenge.(Jabki hamain yeh mallom hai ki lalkitab ki original pratiyan kuch hi logo ke pass hain. Baaki log to dukaan daari ker rahe hain lalkitab ki books se apnee nayee nayee books banaaker.Doodh ho to ghee bahut ban jayegaa lekin binaa doodh ke desi ghee ek toula bhi nahi ban saktaa. Yahaan hum usi lalkitab ke doodh ko ikatthaa kerne ka prayaas ker rahe hain.)Main vyangya nahi ker rahaa hoon.Balki ek dishaa ke anurup apnaa mantavya spasht ker rahaa hoon.Agar hum aisa nahi karenge to Lalkitab System ka roop nasht bhrasht ho jayegaa. Isi kaaran is group main lalkitab ke mool roop ko hi bar bar prayog karne ka sujhav diyaa jataa hai. Uski anya tikaa (Detailed versions which is not the part of red book) ko padhnaa ek sahi kadam na hogaa. Main ant main fir sabhi members se dohe ke roop main kehnaa chahoonga ki- " beeti tahi bisaar de aage ki sudh le. " Harivansh JI ne bhi kahaa hai ki - Jo beet gayi so baat gayi. Chalo aage badhain.Kulbeer ji mujhe 35 salaa chakraa ka aapke anusaar nahi lalkitaab ki ibarton se bandhaa hua aur unke anusaar ghatit hone wala jawaab chahiye. Ummid hai ki aap avashya bhejenge.Aur hum dono us per ek swasth mansiktaa ke saath discussion bhi karenge ho saktaa hai ki hamain aapko guru manna pad jaye.Chaahe kuch bhi ho ab to - Bhej de chahe jail main,35 saal ke is khel main,Teraa peechhaa na chhodongaa soniye, Are bhai ye lo tumne to hamain bhi bachpan main pahunchaa diyaa.Agar kahi hamse truti ya koi ashobhniya shabd ka prayog ho gaya ho to kshmaa karain kyonki hamare hriday main kahi bhi aisi mansiktaa nahi hai apitu hum to bhav-vibhor hoker yeh sab likh rhahe hain. Dhanyavaad Lalkitabee lalkitab , Punit Pandey <punitp@g...> wrote: > > Kulbir ji, > > > > I am back to your first topic " 35 sala chakra (35 year cycle). " :-) In my opinion, none of the single answer was complete. There are various (at least three) 35 years cycles concurrently running at a time for the native. First one is fixed one that starts with Jupiter on 16th year. It is a fixed 35 years cycles and I have seen it being utilized by some astrologer upto certain level of accuracy. Pt. Krishna Ashant also quoted it in introduction of his book. > > > > Another 35 year cycle is as mentioned by your Guruji and Mudit ji. That probably starts from the " Janma vakta ka graha (planet of birth time). " I am not very sure about it as I am not utilizing it. But it is the one probably most emphasized my Joshi ji. Still some discussion is required on application of this cycle. > > > > The third cycle that is used in lost horoscopy (nashta jatakam) where we try to ascertain the dasa cycle based on some event of native's life say the marriage or death of the wife. In case of lost horoscopy it can be quite useful. It is also mentioned in Lal Kitab that " is 35 sala chakkar ka pura istemal varshaphal ke haal mein darja hai " (use of the 35 years cycles is registered in form of varshaphal.) So if someone is not very sure about 35 years cycle, he should try to avoid using it and try to use varshaphal only. > > > > This concurrency is not in case of this " 35 sala chakra " only. Varshphal is also mentioned to be casted based on different methods in which almost all methods work very well. > > > > Waiting for opinion of all Lalkitabists. > > > > Thanks & Regards, > > > Punit Pandey > > > > > Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.