Jump to content
IndiaDivine.org

saadhna me safalta

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Dear all,

     Jai Gurudev,

 

     Jeevan ka aadhaar hi safalta hai , Bhautik jeevan me aane wali baadhon ko

samapt kar jeevan me sukh aur aanand ki prapti hi to hamara dhyeya hai. .ye

vishay behad jaruri bhi hai aur aatmik bhi. ham sabhi ne kabhi na kabhi apne

jeevan me kuchh pane ke liye ya durbhagya ko samapt karne ke liye Saadhna-yog

(Tantra ,Mantra ) ka avashya prayog kiya hoga .par kya sabhi ko safalta mil

payee????? kya alag alag mat jaise ki sabar, islamik,

jain,saumya,tivra,lakshmi,aghor  mantron ko apni apni samarthyata ke anusaar

karte huye ham us safalta ke phal jise ki Siddhi Kahte hain ........ ham prapt

kar paye!!!!!!!!!!!!  apne dil par jab ham haath rakhte hain to uttar yahi aata

hai ki ..nahi us star tak nahi pahuch paye... hai

na!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! SHayad aapne in sootron

ko kabhi apnaya nahi hai.....

   par koi baat nahi nirasha ko alag rakh kar ek baar in sootron ko bhi  apna

kar dekhiye.Sadgurudev ne to sabhi vidhaan hamare saamne khol kar rakh diya hai

,par hamne hi kabhi dhyan nahi diya hai. maine inhe apnaya hai aur safalta

paayee hai.sabhi prakar ki sadhnaon me... aur aap bhi is swad ko chakh sakte

hain .

   1.sabse pahle prayashchit ki kriya karni chahiye. iske liye ek kagaj par apni

bhoolon ko,galtiyon ko, apradh ko likh kar Guruyantra ke neeche rakh dijiye aur

Sarv dosh nivarak mantra ka jap 11 din tak nitya 3 mala karen.is dauran 16 mala

guru mantra bhi hona avashayak hai.

   2. Ek Siddhi phal  ko kale tilon ki dheri par sthapit kar us ke saamne " Vam "

mantra ki 3 mala karen ye hamare sadhnatmak aur bhaoutik doshon ko samapt karta

hi hai sadhna ke baad is phal ko bhi anya samagri ke sath visharjit kar den.

 

  3.Nirasha saadhak ki sabse badi dushman hai. atah nirasha bhav ko tyagna hi

safalta ki pahli seedhi hoti hai.

 

 4. Sadhna kaal me aur uske baad bhi apni KI ja rahi saadhna ka prachar karna

aapki safata prapti ki kaamna ko khatm kar sakti hai,is liye apne anubhav Guru

ke charnon me hi nivedit karna chahiye aur Saadhna Mantra Guru mukh se lene se

aapko uska uchcharan aur safalta ka vardaan dono hi prapt hote hain.

 

 5. Guru kavach Sadhna kaal me aane wale vighnon ko aapse door rakhta hai aur

aapdaon se kavchit bhi kar deta hai.

 

6.sadhnaon me safalta ke liye Tantra safalya mantra ka prayog karen.

 

7.Tantra me safalta ke liye Mool mantra jap ke pahle aur baad me 5 safalya

mudraon ko  mool mantra bolte huye pradarshit karna chahiye.

 

8.Sadhna ke pahle aur baad me Guru mantra ki mala honi hi chahiye tatha jo

poojan ham sadhna ke pahle karte hain us poojan,viniyog,dhyan ko mool mantrajap

ke pahle aur baad me jarur hi karna chahiye.

 

9.Mool mantra ke dwara, Angibhoot nyas kar Sharir ke 24 kendron me mantra ka

sthapan kar lena chahiye ,iske baad Prayashchit nyas kar mantra sadhna me hone

wali galtiyon ke prabhav ko door karne ki prakriya karna chahiye. iske baad

Deepni kriya kar us mantra ko apne liye prabhav kari banana chahiye.ye teeno hi

kriyaen mool mantra ke dwara hi hoti hain. iske baad hi mool mantra ka nirdisht

sankhya me jap karna chahiye.

10.Sadgurudev se sadhna me safalta ka nivedan karna aur Sarv-Sadhna safalya

diksha  ek adviytiya upaay hai  safalta prapti ke liye. yaha maine jo bhi

vivechan diya hai ye gupt kunjiya hi hain jo sahaj prapt nahi hoti par hamara

saubhagya hai ki Yug-Purodha Sadgurudev ne hame sahaj hi diya hua hai.

              Aap in kriyaon ko apni sadhna me apna kar to dekhiye ,safalta

daudti huyee chali aayegi aapki aur.....

                                                                                \

         Aapka hi

 

 

 

                                      ****ARIF****

 

 

Love Cricket? Check out live scores, photos, video highlights and more.

Click here http://cricket.

 

 

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...