Jump to content
IndiaDivine.org

Swarnakarshan Bhairav Yantra

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Guest guest

Jai Gurudev, 

 

   Jeevan ke chaaro purusharth me arth ki bhoomika puritan kaal se

mahatvpoorna rahi hai. Main yaha bas yahi kahna chah raha hoon ki dhan ki

bhoomika manav jeevan me sabhi kaalo me maanya rahi hai. Chahe iske dwara

aishvarya prapti ki baat ho ,ya sukhon ke upbhog ki .ya phir samaaj me apna

varchasv banane ki.

   Aur is baat ko hamare rishiyon ne bahut pahle hi samajh liya tha aur unhone

apne tantra bal aur yog-bal ke dwara brahmaand se dhan prapti ke liye vibhinn

sadhnaon ka gyan  prapt kiya . unke dwara jyamitiy roop me un  shaktiyon ka

bandhan yantron ke roop me apna manorath siddh karne ke liye kiya gaya.

      Vaise to jeevan ke pratyek pakshon ko sabalta pradaan karne ke liye

vibhinn yantron ka prachlan sadhak samaaj me hai. Par jaha baat dhan aur shree

ki prapti ke liye ki ja rahi ho vaha barbas hi logon ka dhyan  shriyantra ki or

chala hi jata hai.akhir jaye bhi kyun na, shriyantra ke dwara jo unnati hoti hai

wo sthaayee bhi hoti hai aur dharm sammat bhi .par sirf shri prapt karma hi to

sab kuchh nahi hai na………….

        Uchh koti ke tantrik is baat ko bhi bhali bhanti jante the ki

aishwarya to ho par wo shatru,rajya-badha( mukadma aadi) ,tatha rogon se bhi

mukt hona chahiye na……..

    Aur is ke liye ek aparaajey prahari aur rakshak ke roop me bhala bhagwaan

bhairav se behtar kaun ho sakta hai .bhale hi log bhairav ko ugra mante hon ,par

kam logo ko hi ye baate pata hogi ki bhairav ke sarvadhik vardayak aur poorn

abhay yukt aishvarya dene vala roop swarnakarshan bhairav hai,jinki sadhna

puritan kaal se hi sadhakon se sadhakon ke Madhya hi chali aa rahi hai ,is liye

aaj bhi ye sadhna apne mool roop me surakshit hai .ye sadhak jeevan ka saubhagya

hi hota hai ki aisi divya sadhna use prapt ho ,aur ,SadGurudev ne shishyon ko

kisi bhi saubhagya se vanchit nahi kiya .unhone ek poora shivir hi Swarnakarshan

Bhairav ke upar lagaya tha,aur un rahasyon ko vivechit va prakat kiya tha jo

durlabh va samanya roop se agamya hain. Usi dauraan unhone bataya tha ki yadi

kisi kaaranvash koi is sadhna ko nahi  bhi kar pata hai tab bhi yadi vo matr

Swarnakarshan Bhairav Yantra ki sthapna hi apne sadhnakaksh .pooja-sthal ya phir

vyaparik

pratishthaan par kar leta hai tab bhi vo poorna labh prapt kar leta hai .

unhone is yantra ke rahasyon ki gutthi ko kholte  huye bataya tha ki  ye

yantra ek adwiytiya yantra hai,jiske pratyek akshar-varn aur bindu ka mahatva

hai. Iske chaar bhago me 4 panchdashi yantra ankit hote hain( pratyek disha me

alag-alag varno kekram se panchdashi yantra ankit hota hai) jo is baat ka pratik

hain ki sadhak ko samast vishva ki sampada ek sthan se nahi apitu charon dishaon

se prapt hogi,koi badha,koi shatru uske uddeshya me badhak nahi ho sakte.

   Charon kono me shreem  roopi maha lakshmi ka beej ankit hai ,jo dhan ko

akhandta pradan karta hai. Upar aur neeche  milakar charo kono me om ka ankan

poornta,shreshtta aur safalta ka soochak hai.jisse bhog aur moksh ek sath sahaj

prapt hai.bhaotik drishti se 16  uplabdhi prapt hoti hai

dhan,dhaanya,bhoomi,uttam bhavan,samaajik keerti, poorna-aayu,akhand

yash,maansik shanty, vaahan,putr,pautra,rajya-unnati,uttam swasthya,nirantar

pragati,nishchit safalta,jeevan me poornta.

   Aadhyatmik drishti se bhi 16 uplabdhiyan prapt hoti

hai.prem,daya,sneh,apnatv,mamatv,dravit hriday,mansik

shanty,akhand-samaadhi,gyaan,chintan, kundli jagran, akaatm-bhaav,

ishvar-darshan,tatasthta,aatm-sanyam,vasudhaiv-kutumbkam bhaav ki  prapti.

 

   Yehi 32 kalaayen hain jinse paripoorna manushya poorna guno yukt kahlata

hai.yantra ke Madhya me vratt aur uske beech me chaukor phir punah vratt ka

taatparya poore brahmaand  me nihit shaktiyon ko apne me samahit kar siddh hone

ka bhaav hai. Inme ankit akshar samast brahmaand  ko avlokit karne ka bhaav hai

ya doosre shabdon me samast chakron ka bhedan kar sahstraar prapt karne ki kriya

hai. Madhya sthaan  se chaaron taraf nikle trishool vishva ki raksha aur

aatm-bal dwara vishva kalyaan ki bhavnaa se sangumphit hai.

 

    Is prakaar ye yantraaatma ko parmaatma me vileen karne tatha brahmaand ki

siddhiyon ko samahit karne ki kriya hai.iske prayog dwara saadhak mitti ke dhele

ko bhi swarna me parivartit kar atulniya sampadaa ka swami ban sakta hai .

 

   Tatkaalik labh ke liye inka sthaapan kar apni manokaamna ki poorti ke liye

kaarya anusaar bhagwaan bhairav ka satvik,raajsik ya taamsik dhyaan ka nitya 11

baar uchchaaran hi paryaapt rahta hai….

Saatvik dhyaan se-akaal-mrityu yog ka naash,aayu-vriddhi, aarogya tatha mukti

prapti

Raajsik dhyaan se-dharm,kaamnaon ki poorti,aarthik safalta.

Taamsik dhyaan se-shatru krit abhichaar ka nivaran,shatruon par vijay mukadme me

safalta.bhoot-pret badha se mukti aur siddhi/

 

  Isi prakaar jo apne jivan me vyavsaay ya job me lagataar unnati chahte hain

,ve yadi 5-11 baar is yantra ke samne Kanak-Dhara stotra ka path yadi karte hain

to hone wale parivartan ko ati shighra swayam hi dekh kar aashcharya chakit rah

jayenge. Jin sadhako ko paarad vigyan me safalta paani hai unhe to yeh sadhna

karni hi chahiye. Baat sirf padhne ki nahi apitu apnakar dekhne ki hai

anyatha…….

 

    Apni kundli dekh kar apne bhaagya par rone ke alava koi upaay nahi rah

jayega. Vaise bhi samasyaon ki charcha par dhyaan dekar samay bekaar karne se

kahi behtar uska samadhaan karna  hai,ab marji hai aapki ,aakhir jeevan hai

aapka.

                                        \

                                    

                                       

                                        \

                             Aapka hi

 

 

 

                                      ****\

ARIF****

 

 

Cricket on your mind? Visit the ultimate cricket website. Enter

http://beta.cricket.

 

 

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...