Jump to content
IndiaDivine.org

kalp patra

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Guest guest

Jai Gurudev

Is sampoorna shrishti me sabhi rogon ka nash matr paarad ke dwara hi sambhav hai

,aur ye bhi jagadvikhyaat hai ki yadi manushya apne shareer ka kayakalp  kar

sakta hai to matr paarad ke prayog dwara hi ye sambhav hai.

            Paarad ke dwara kai vibhinn tarikon se kayakalp kiya jata  hai

,jaise paarad ke dwara kalp ka nirmaan kiya ja sakta hai jisse shareer ko

arogyata to di hi jati hai sath hi sath soundarya ke mapdand par khara utar ne

ke liye job hi anivarya sharte hoti hain unme bhi in kalpo ke dwara poorn labh

paya jata hai jis prakaar dabe huye ya kali rangat ko gouraangna ke dwara matr

kuchh hi dino me gora rang sthayee roop se diya ja sakta hai. Unchha kad aur

sugathit sharer ki prapti sandeepan kalp ke dwara ki ja sakti hai.

     In sabhi kalpon me paarad ka aur paarad jal ka prayog kiya jata hai .jiska

vidhaan itna sahaj bhi nahi hai, haan ye ek alag baat hai ki SadGurudev ne kai

avsaron par apne shishyon ko in kalpon ka vidhaan bhi samjhaya aur in kalpon ko

banakar diya bhi .

    Aise hi paarad ke dwara kuchh vishesh vanaspatiyon ke sahyog se

sise,range,jaste se rahit kar aur yauvan kartri samskaar siddh kar ek vishesh

paatra ka nirmaan kiya jata hai jise Aing-patra  ya kayakalp patra kaha jata hai

.. is patra ka nirmaan poorn rupen saraswati beej mantr aing ka vikhandan kar aur

kayakalp mantra se samputit kar kiya jata hai .sampoorna shrishti me saraswati

hji vyakti ko ras yukt kar sakti hain ya poorn saundarya de sakti hain. Is patra

ke dwara  saundarya ke vibhinn pakshon kop rapt kiya ja sakta hai .paarad ko

poorn samskarit aur vanaspati ki urja ka sahyog kar ras ko rasraj banaya jata

hai tabhi is patra ka nirmaan sahaj ho pata hai. Ye katore ke aakaar ka hota

hai. Chahe baalon se sambandhit vikaar ho ya kaamshakti ka prasfotan matlab

poorna youvan ki praapti,chahe garbh se sambandhit vikaar ho ya phir naye

shareer ki praapti (vaise hi jaise sarp jati apni kenchuli ko chhodkar nayi deh

 ko prapt kar leti hai) .hamare

praachintam gyan paqr hame garv hona chahiye jahan  asambhav kuchh bhi nahi hai

kyunki aseem pragya shakti ka prayog karne ke baad  in sootron ka uday hua hai.

Main inme se kuchh prayog yaha par de raha hoon asha karta hoon ki aapko isse

poorn labh hoga.

                    

            Safed  baalo ko sthayee roop se kaala karne ka kalp prayog-

Taje aanvle 2 kilo lekar ek mitti ki handi me daal de.aur usme 3 kilo paani daal

de/  handi itni badi honi chahiye jisme lagbhag 5 kilo samagri aa jaye, iske

baad pratyek samagri 250-250 gram daal de,

chhuaare,vanshlochan,jarapeepar,kapurkaachri,adhlayee aur adhlanga ki giri.

               Pratyek vastu suddh aur saaf ho in sabko aanvle ke sath mila kar

rakh de aur dhaak de 24 ghanto tak is par soorya ki roshni nahi padni chahiye.

    Doosre din handi me aur pani daal de yani muh tak bhar de aur use dheemi-2

aanch par pakaye ,3 ghante tak pakaane ke baad use neeche utaar kar  thanda kar

len aur thanda kar un saari samagri ko ek ras kar len. Nitya isme se paanch tola

samagri ko kalp patra me 12 ghanto ke liye rakh den aur nity aise hi 5-5 tole ka

sevan Karen is paatr ke prabhav se is kalp me ek vishesh shakti aajati hai jiske

 sevan se baalon ka rang sthyaee roop se kala ho jata hai aur baal ghane va

lambe bhi ho jate hain.

 

Poorn youvan prapti ke liye tatha kaam shakti ki vraddhi ke liye nitya ratri me

gunguna doodh 50 gram is paatra me rakh de aur nimn mantr ka 5 minut tak jap

kare baad me us doodh ko pee len kuchh hi dino me aap swayam hi iske prabhav ko

dekh kar ashchary chakit rah jayenge.jis paarad se is paatra ka nirmaan hota hai

wo youvan kartri samskaar ssampann  aur ye paatr anang mantron se siddh  hota

hai .   Ye  vidhi dekhne me to to bahut hi aasan dikhayee deti hai par hai bahut

hi prabhavkaari.

    Mantra- om namo bhagvate mahabal parakramaye manobhilashit stambhanam kuru

kuru swaha.

      Is mantra ka prayog moonga aur shukar dant par bhi kiya jata hai par vo

vidhi bahut hi diirgh hai.

 

    Santaan prapti tatha garbh se sambandhit vikaar ke shaman ke liye  -is patra

me gay ke doodh ko 50 gram bhar de aur usme aing  beej ke  pratik

kusha(daab),palash aur akarkara vanaspatiyon ka ark mila de (in teeno vanaspati

ke dwara hi srishti ki prakriya hoti hai ).phir is mishran ko chalaate huye aing

mantra ka 3 ghante tak jap kare aur 3 ghante ke baad us doodh ko doosre doodh me

mila kar pila den ya yadi swayam ke liye kar rahe hain to  swayam pee le .ye

100% pramanik prayog hai .

    Sampporna kayakalp prayog aadi ka varnan phir kabhi karne ka prayas karunga.

Is paatra ke dwara bahut se karyon ko sampan koiya ja sakta hai .jarurat

aalochna ki nahi balki kasauti par parakhne ki hai.

                                                                                \

                       Aapka hi

 

 

 

 

                                      ****ARIF****

 

 

Add more friends to your messenger and enjoy! Go to

http://messenger./invite/

 

 

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...