Jump to content
IndiaDivine.org

paarad ki mahatta

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Dear all ,

 

     Jai gurudev,

 

   Sadgurudev kahte hain ki ve log dhany hain jinhone jeevan me paarad ke

darshan kiye ho aur jo  paardeshwar ki sadhna me rat ho. Kyunki paardeshwar aur

paarad lakshmi ke maadhyam se hi jeevan ki we unchaiyan hame prapt hoti hain

jinki chahat hame hoti hai.

 

   Paarad shivling sansaar ka durlabh shivling hota hai yadi us divvy va

shubhr pravahit paarad ko swarn graas dekar bhavy va aabadh banaya jaye . aur

yeh graas dene ki kriya 32 baar honi chahiye . kyunki aisa swarn graas diya

paarad hi jeevan me bhaoutikta aur adhyatmikta ka samavesh karta  hai. Yaha par

sadgurudev ne bahut hi vishesh baat kahi hai ki swarn graas ke bagair paarad

poornta de hi nahi sakta . phir chahe us nirbeej (bina graas liye huye) ka aap

shivling ya paardeshwari banao ya phir use bhasm karo kyunki shastra kahta hai

ki nirbeej paarad ko bhasm karne wala narak gami hota hai wo shiv hatya ka doshi

hota hai. Aur yeh grass dene ki kriya vijay kaal se prarambh honi chahiye. Tatha

jaha par paarad shivling sthapit ho ya nirmaanit ho raha ho waha par aagney kon

me paardeshwari sthapit hona chahiye.

 

    Bhagwaan shiv ke divvy 32  roopo ko tabhi aabadhikaran kiya ja sakta hai

jab unke pratyek roop ke jap dwara graas diya jaye. Isi prakar heerak graas bhi

32 baar lakshmi ke 32 roopon ki sthapna ke liye diya jata hai aur yeh poorn

prakriya 16 ghanto me hoti hai pratyek ghante me 2 baar shiv chaitany hote hain

aur do baar lakshmi.

 

   Is prakar jo paarad prapt hota hai usse nirmanit vigrah adviytiy  hota hai

poornta dayak hota hai aur aise hi shivling aur lakshmi par ki gayee sadhna

phalibhoot hoti hi hai . vaise bhi jo log dukaan se paarad ke vigrah kharid kar

sthapit karte hain unhe koi anukulta isi liye nahi milti  kyunki jab paarad

asht samsakaar ke baad bubhukshit hota hai to use bhojan dena anivary hai  ,

aap khud hi sochiye  ki jo khud bhukha ho wo aap ko tripti kaise de sakta hai.

Aur doosri baat  dukano par milne wale vigrah paarad se nahi balki sise se ya

jaste se nirmit hote hain jinme naam matr ka paarad hota hai , na unme chetna

hoti hai na hi koi samskaar. Ab wo aapko poornta kaise de sakte hain. Yeh jeevan

ka saubhagy hota hai ki jeevit guru se in vigrahon ko prapt kar apne ghar me

sthapit Karen aur aishwary va  sadhnatmak star ki uchchta ki prapti kare jo

hoti hi hai. In 64 divy lakshmi- shiv roopon ke alava unme 4 aur vishisht shiv

roopon ki bhi sthapna

hoti hai. Is prakar 64 tantron ki divvy shaktiyon se yeh vigrah samyukt ho jate

hain. Yadi in prakriyaon se yukt paardeshwar aur paardeshwari ghar me sthapit ho

tab kaisa bhi bura grah prabhav, tantra prabhav, poorv janmkrit doshon se

sadfhak ko mukti milti hai.

   

    Aur aisa vigrah hi aapko wo anukulta aur poornta deta hai jaisa ki aap

chahte hain. Aisi paardeshwari hi aagney kon me swarnavati bankar sthapit hoti

hai aur khushiyon ki bearish karti hain.

 

      Aise paarad shivling par hi shaiv guru sadhna , poorv janm darshan

sadhna ,tatha sapt lok bhedan sadhana hoti hai jo ki sadgurudev dwara vishv ki

shresht dikshayen  me bhi di huyee hai.

   Ek mahatvpoorn baat yaad rakhiye , aise vigrah poorn  shubhr aur

daidipymaan hote hain jo sammohan kshamta aur divvy tej se aapko aplavit kar

dete hain , to aaiye aur sadgurudev se in vigrahon ko prapt kar jeevan ko safal

banayen.                         

                                        \

                                        \

     Aap ka hi

 

 

 

                                      ****\

ARIF****

 

 

 

 

 

 

Add more friends to your messenger and enjoy! Go to

http://messenger./invite/

 

 

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...