Jump to content
IndiaDivine.org

Jyotish : kuchh upyogi sootra

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Dear all, jai gurudev, Nishchay hi jyotish pragya va

sadhana ke prabhav se satya phal kathan kahta hai, lekin yadi usme sahi

va uchit ganitiy sutron ka sawdhani poorvak prayog kiya jaye to phalit

ki satyta ka % badhta hi hai. ab sadhna paksh ko dridh banana sabhi ke

liye to sambhav nahi hai par ham ganit ka sahi prayog to kar hi sakte

hai. prachin kaal se vartmaan samay tak hamara desh divy vidvono se

bhara poora raha hai. aaj bhi bahut se aise vidvaan hai jinhone

jyotishiy ganit ko navin sootr dekar navin jeevan diya hai . sadgurudev

ne jab chhote -2 grantho ki rachna ki thi to unka uddeshy samaj me

jyotish ke jatil paksh ko sugam banana tha. vahi kary aaj anya vidvaan

bhi kar rahe hain. yadi kundli ke dwara phalit batate samay kuchh sutron

ka dhyan rakha jaye to ham sahi phal kathan kar sakte hain. 1. yatha

sambhav kai prakar ki dashaon ka abhyas karna chahiye jisse phal kathan

me satikta aa sake. 2.dasha swami ki stithi ka janm kundli aur

navmansh kundli dono me bariki se nirikshan karna chahiye. 3.isi

prakar janm kundli ke pratyek ansh kaan ka avlokan karna chahiye: jaise-

carrier ke liye dashmansh kundli ka, sampatti ke liye chaturthansh ka

santaan ke liye saptansh ka 4.pratyek ghatna ka teeno varg kundliyon

se avlokan karna chahiye. 5.vimsottari dasha se parinamo ke baare me

bariki se jaanne ke liye shuru se hi mahadasha, antardasha, aur

pratyantar dasha tak pahuche. 6.yeh dekhe ki mahadasha nath tatha

antardashanath paraspar kaise aur kis stithi me hain.yadi ve paraspar

kendra ya trikon me hain to yeh anukul sthiti hai. isi prakar ve 2-12 ya

6-8 me ho to yaha sthiti baadhaon ka dhyotak hai. par bariki se hi

avlokan karna chahiye. 7.dashanath kin kin bhavo ka adhipati hai aur

un bhavo ka swami hone ke karan ve kaise phal de sakte hain.

8.vimsottari dasha ke atirikt anya dasha ka bhi prayog kar ke dekhna

chahiye ki vaise hi parinaam hain ya nahi. jaha tak ho sake to yogini

dasha ka prayog karen. yeh saral bhi hai aur gadna bhi sighr hoti hai.

9.in sab parinamo ki chandr kundli se bhi jaanch karna chahiye.

10.aakhir me gochar ka prayog karna chahiye, tatha sarvashtak ka prayog

jaroor karen. is vishay par yeh charcha aage bhi jaari

rahegi , hamara dayitv hai ki bhrantiyon ka nivaran kar ham naveen va

saral vichaar dhara se vishay ka saralikaran kare aur labh uthayen.....

aap ka hi

 

****ARIF****

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...