Jump to content
IndiaDivine.org
Sign in to follow this  
Guest guest

KARN-PISHACH SADHNA

Rate this topic

Recommended Posts

Guest guest

dear all,

jai gurudev,

..... is brahmand me sabse tivra gati kiski hai kya aap bata sakte hain? sochiye to sahi........

kya hua .....

are bhai nischay hi man ki ... hai na..

is sampoorn charachar me man roopi shakti keval manushya ke paas hai . jabki anya prani va jeev ishwar ki prerna se karya ko sampadit karta hai, kyonki unke paas man nahi hai kya aapne kabhi kisi janwar ko haste huye dekha hai.......

isi man ke karan manushya me kalpana karne, sankalp karne ki kshamta hoti hai. pratyek avishkaar ,pratyek siddhi ke peechhe kalpana shakti hi to hai.

ab karn-pishach, ya karn-pishachni kya hai?

manushya ki asimit manah shakti ke upar jis shakti ke dwara niyantran kiya jata hai use hi karn-pishach ya pishachni sadhna kahte hain. iska matlab saaf hai ki manav ki mansik shakti ka vijeta hi is divya vidya ka sadhak va siddh ban sakta hai.

is vidya ke dwara ham man ko nishkriy nahi karte balki uski charam aur paranm sakriyta ko sadh kar manav - kalyaan me laga dete hain.

is siddhi ke dwara man ki sakriyta ko badhayee jati hai kyunki niskriy ya supt shakti bhala kis kaam ki?

is vidya ke peechhe akhir kaun sa siddhant karya karta hai?....

vyakti ka poora bhoot kaal uske chetan - avchetan man me chhipa hota hai , isi liye jaise hi aap apne param shakti saali man ka samanjasy jaise hi kisi ke man se karte ho vaise hi jaatak ka poora past aapke samne aa jata hai kyunki prakar antar se aap ke man ka samanvay aakash tatv se ho jata hai aur aap us rahasy ko brahmandiya vani me sunte ho jo ki aapko kaan se sunne ka ahsaas karvati hai .

is vidya ka prayog apni swarth poorti ya galat karyon ko sadhane ke liye na kiya jaye ,anyatha uske dush parinaam bhi milte hain.yeh sadhana aatm bal badhane ki sadhana hai aur aapke kaaryon ko saral kar dhoka hone se to yeh bachati hi hai.yaad rakhiye tantra na to sahi hota hai na hi galat,yeh to hame aise sthan par tathasth kar khada kar deta hai jaha se hame hi yeh nirdharit karna padta hai ki iska ham apne vivek anusaar kaisa prayog karte hain..

tantra shastra ki atyant kam prachlit magar adbhut sadhana hai yeh karn-pishach sadhana . samaj me karn-pishachni sadhana kahi jyada prachlit hai.parantu uske vishay me jo bhrantiyan phaili hain unse vyakti karn-pishachni sadhana karne se darta hai. isi liye karn-pishach sadhana kahi jyada anukul hai .

monday se is sadhna ko karen.

1st day upaas rakhen,kyunki yeh aapke aantrik va bahya pvitrta ki hi prakriya hai,

safed vastr va aasan ho tatha face south ki or ho.

ratri is kary ke liye shreshtha hai .

lauki aur sarpakshi mool ko laal dhage me bandh kar sir par baandh le (in jado ko pushya nakshatra me la len)

guru poojan va mantra jap kare. va guru se is sadhna me safalta ke liye prarthna karen.

phir samne tel ke deepak ko jala kar aur uska poojan karke ekagra chit hokar deepak ki shikha par tratak karte huye 1.5 lakh mantra karen.

dino ki sankhya ka nirdharan aap apni kshamta ke anusaar kare .jyada se jyada 21 din ho sakte hain.

nischay hi guru kripa se aapko safalta prapt hogi.

mantra: om namo bhagvate rudraay karn pishachaay swaha

is sadhna ko karne se poorv sadgurudev se sambandhit diksha lena kahi jyada shreshtha hai.aur poorna siddhidayak bhi.

to aage badhiye aur aisi divya sadhanaon ko apna kar apna jeevan safal karen......

aap ka hi

****ARIF****

Share this post

Link to post
Share on other sites
Guest guest

ye sadhana, sri vidya upasak kar sakte hai?

On Thu, Nov 13, 2008 at 2:37 PM, Arif khan Nikhil <arif_2arif2000 wrote:

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
Sign in to follow this  

×
×
  • Create New...