Jump to content
IndiaDivine.org

mohmad yusuf sheikh

Members
  • Posts

    0
  • Joined

  • Last visited

Reputation Activity

  1. Like
    mohmad yusuf sheikh reacted in Fw: great books of alchemy   
    Dear all,
               Jai  gurudev,
      
       Paarad  tantr brahmand ka sarv shreshtha  tantr hai isme koi do mat nahi
    hai. Aisa main is liye nahi kah raha hoon ki main khud ras shastr ka abhyas
    karta hoon balki is liye main aisa kah raha hoon kyunki yeh ek matr wo tantr hai
    jiske dwara srijan , paalan aur sanhaar ki kriya sampan hoti hai. Sadgurudev
    kahte hain ki 64 tantron me yah sabse mahatvpoorn aur antim tantr hai matlab is
    tantr tak pahuchne ke liye aapko sari chunoutiyaa paar karni padti hain, apne
    aapko sabit karma padta hai , aur yadi is baat ko galat mante hain  to bataiye
    ki aaj aise kitne log hain jo pramaanik roop se  18 samskaar karke dikha sakte
    hain.
     
        Sadgurudev ki virat mahima ka ek pahlu yeh bhi raha hai ki unhone sabse
    pahle samaaj  ke samne un 108 samskaaro ke vishay me bataya jinke vishay me
    kabhi logo ne suna bhi nahi tha. Aakhir aisa kyun tha? Iski vajah yeh rahi hai
    ki paarad 8 samskaar ke baad  shakti vaan hokar aapko bhaoutik aur shaaririk
    uplabdhiyaan deta hai , yeh to theek hai par 18 ke abaad to vo viprit kriya
    karne lagta hai aur use sambhalna  aur niyantran me rakhna bahut kathin kaary
    ya ye kahe ki lagbhag asambhav hi ho jata hai . yadi ise niyantrit kar liya jaye
    to saadhak ko brahmaand ke we rahasy  uplabdh ho jate hain jinke vishay me
    shayad kalpna bhi nahi ki ja sakti.
     
        Sadgurudev  ne swarn tantram me kaha hai ki yadi mujhe 2-4 shishy bhi
    mil jaye to main  bharat ko uska arthik gaurav punah dila sakta hoon, saath hi
    saath un grantho ko bhi phir se samaj ke saamne rakha ja sake jo paarad jagat ke
    durlabh granth hain.
     
         Ras shastr ka addhyan karne wale  sadhako ke liye yeh granth anivaary
    hain kyunki yeh saare granth na sirf pramaanik hain balki kaalaatit bhi hain.
     
    In granthon me varnit kriyayen sadhakon ko vismit kar deti hain . alag alag
    samprdaay ki gupt kriyaon ko samajhna aur kriyatmak roop se karne ka anand hi
    aur hai. Videshon me log ras tantr ko sirf darshan shastr tak hi rakhe huye hain
    par hamare yaha inka kai baar pramanik roop se digdarshan bhi karaya hai. Yeh
    granth hain:
     
    Swarn tantram
     
    Swarn siddhi
     
    Swarn tantram (parshuraam )
     
    Aanand kand
     
    Rasarnav
     
    Ras ratnaakar – Nity naath
     
    Ras ratnaakar – Nagarjun
     
    Ras hriday tantr
     
    Ras saar
     
    Ras kamdhenu (loh paad)
     
    Gorakh sanhitaa (bhooti prakran)
     
    Vajrodan
     
    Shailodak kalp
     
    Kaak chandishwari
     
    Rasendra mangal
     
    Rasopnishat
     
    Ras chinta mani
     
    Ras chuda mani
     
    Rasendr chintamani
     
    Rasendra chudamani
     
    Ras sanket kalika
     
    Ras paddti
     
    Rodrayamal
     
    Loh sarvasva
     
    Rasendra saar
     
       Aur bhi anek granth hain jinhe prapt kar addhyan karma hi chahiye kyunki
    jab aap inka addhyan karenge tabhi aap hamari gauravshali paramparaa ke moolyon
     ko samajh payenge.
                                            \
                                 urs
     
     
     
                                          ****\
    ARIF****
     
     
     
     
     
     
     
     
     
    Add more friends to your messenger and enjoy! Go to
    http://messenger./invite/
     
     
×
×
  • Create New...