Jump to content
IndiaDivine.org
Sign in to follow this  
astrobhadauria

Mudra

Rate this topic

Recommended Posts

Mudra

In the Vedas there are 11 types of Mudra.

1.Khechari Mudra

jeebh ko ulti karane ke baad jo taalu ke oopar ka khaalee sthaan hotaa hai,usmai jeebh ko lagaataar lagaaye rakhane kaa kaam hee khechari Mudra kahalaataa hai.Is ke liye jeebh ko badhaane ke liye teen saadhan kiye jaate hai.

(Chhedan)

Jeebh ke neeche kaa dhaagaa pratidin kisi saaf seese se roz dheere dheere katana padataa hai,jab seese se kaatane kaa kaam poora ho jaave to iske baad Maaju phala kaa chooran jise angrejee mai Tarin acid bhee kahate ahi ko jeebh ke neeche lagaa lena chaahiye.Jiskee jeebh ke neeche kaa dhaagaa patala hotaa hai unko kaatane kee jaroorat nahee padatee hai.

(Chaalan)

Kisee kapade kee sahaayataa se jeebh ko pakad kar aage peechhe chaaro taraf ghumaane ke baad usko dheere dheere kheechane kee kriyaa ko chaalan kahate hai.

(Dohan)

Jis prakaar se gaay ke than se doodh nikaalate vakhat ghee yaa makkhan lagakar gaay ke than ko kheenchate hai,usee tarah se jeebh ko rozana kheechane se jeebh ko badhaayaa ja sakataa hai.

 

2.Maha-Mudra

Mool bandh lagaa kar,baaye pair kee edee ke oopar jo jod par gaanth hotee hai usko gudaa ke neeche rakhe,phir daahine pair ko seedhaa phailaakar uskee anguliyo ko dono haatho se pakade,phir baaeen nasikaa se pooree saans andar kheeche,saans ko 24 tak kee ginatee gin kar yaa teen baar Gayatree mantra ko man hee man mai dhyaan kare,phir daahinee naasikaa se saans ko dheere dheere chhod de,phir teen baar Gayatree mantra kaa dhyaan kare aur daahinee naasika se saans ko kheenche,is prakaar se bamang kee mudraa samaapt hui,ishee prakaar se daahine pair kee edee kee jod baalee gaanth ko gudaa ke neeche rakha kar baayen pair ko phailaaka pahale kee bhaanti kriyaa ko kare.ish kriyaa ko karane ke baad Mandagni,Ajeerna,aur pet ke rogo se muktike saath bhookh ka badhanaa,prameh(Dhaatu chheenataa),aur Kundalinee jaagrat ho jaatee hai.

Aap ko Mudraao ke baare mai aur jaanane ke liye apane vichaar likhe....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
Sign in to follow this  

×
×
  • Create New...